Dar madhe molaye kayenaat ali ibne abitaalib as,meesam gopalpuri, Jab aik hen qur'aano nabi

( 1 )
Jab aik hen qur'aano nabi aik khuda he

Phir kis liye islaam ka har firqa juda he






( 2 )
Kuch bas na chala toot gayi babri masjid

Aapas me adaawat ki mili hamko saza he







( 3 )
Bach bach ke kidhar jayenge haider ke mukhaalif

Har moud pe ik meesame tammaar khada he







( 4 )
Naamard alam choona bhi kehne lage bid'at

Ik mard ko khaibar me alam jabse mila he







( 5 )
Paidaa'ishe haider ki khabar goonj rahi he

Har dushmane islaam ka dil doob raha he







( 6 )
Pur kaif nazar aata he khaibar ka nazaara

Aage hen ali peeche Muhammad ki dua he







( 7 )
Mushkil to ali waalon ki hal hogayi laikin

Baatil ka khuda aaj museebat me phansa he







( 8 )
Gar asl musalmaa ho to kaabe ko na jaao

Kaaba hi to haider ka zacha khaana bana he







( 9 )
Kat jaye zabaa zikre ali band na karna

Meesam ne ye paighaam sare daar diya he

Comments