Maa nazm by shadman Raza naqvi

Maa maa maa maa

Mout ki aaghosh me jab thak ke so jaati he maa

Tab kahin jakar raza thoda sukun paati he maa







( 2 )
Fikr me bachon ki kuch is tarha ghul jaati he maa

Nojawaa hote hue boodhi nazar aati he maa







( 3 )
Apne pehlu me litakar roz tote ki tarha

Aik baarah paanch choudha hamko ratwaati he maa







( 4 )
Ghar se jab pardes jaata he koi noore nazar

Haath me Qur'aan lekar dar pe aajaati he maa







( 5 )
Chahe ham khushyon me maa ko bhool jayen doston

Jab museebat sar pe padti he to yaad aati he maa







( 6 )
Yaad aata he shabe aashoor ka kadyal jawaan

Jab kabhi uljhi hui zulfon ko suljhaati he maa






( 7 )
Jab talak ye haath he hamsheer be parda na ho

Ik bahaadur bawafa bete se farmaati he maa






( 8 )
Piyaar kehte hen kise or maamta kiya cheez he

Koi un bachon se pooche jin ki mar jaati he maa






( 9 )
Apne gham ko bhool kar rote hen jo shabbeer ko

Un ke ashkon ke liye jannat se aajaati he maa






( 10 )
Shukriya ho hi nahi sakta kabhi maa ka ada

Marte marte bhi dua jeene ki de jaati he maa


( Kalaam janab Raza sirsvi sahab )

Comments