Maa nazm qaseeda,Maa tere jaane se, by shuja rizvi

Maa maa tere jaane se, tere jaane se

Zindagi ho gayi weeraan

Maa tere jaane se









Ghar bhi ab lagta he sunsaan

Maa tere jaane se






( 1 )
Tere hote hue hote the zamaane mere

Lagte hen ab sabhi anjaan

Maa tere jaane se






( 2 )
Beth kar paas mere baaten jahaan karti thin

Soona wo ho gaya daalaan

Maa tere jaane se





( 3 )
Kitne dukh me ne diye tune wo hanskar hi sahe

Soch kar hun me pashemaan

Maa tere jaane se






( 4 )
Muskura deti thi tu dekh ke naadim mujhko

Kho gayi wo teri muskaan

Maa tere jaane se






( 5 )
Mout aajaati mujhe maa teri khidmat karte

Reh gaya dil me ye armaan

Maa tere jaane se






( 6 )
He bada ghar bhi mera paas he dolat bhi bohot

Phir bhi rehta hun pareshaan

Maa tere jaane se






( 7 )
Jaate jaate bhi dua jeene ki di toone mujhe

Ab hui he teri pehchaan

Maa tere jaane se






( 8 )
Baad mere bhi yunhi saath me sab milke rahen

Yaad aata he ye farmaan

Maa tere jaane se







( 9 )
Har taraf dhoondti hen meri nigaahen tujhko

Teri yaad aati he har aan

Maa tere jaane se






( 10 )
Toone shabbeer pe rona bhi sikhaya he mujhe

Yaad kitne karun ehsaan

Maa tere jaane se







( 11 )
Maa se lipte hue rote hue kehte the husain

Jaati he ab ye meri jaan

Maa tere jaane se






( 12 )
Tukde qaasim ke hue akbaro asghar na rahe

Lut gaya sab sare maidaan

Maa tere jaane se







( 13 )
Rote rote yahi kehte hen shuja or shahaab

Ham hue be saro saamaan

Maa tere jaane se







Zindagi ho gayi weeraan

Maa tere jaane se






Ghar bhi ab lagta he sunsaan

Maa tere jaane se

Comments