Manqabat nazm, qaseeda,Dar madhe mola Ali as, meesam gopalpuri,Nabi ko khud sa bataane se kuch nahi hoga

( 1 )
Nabi ko khud sa bataane se kuch nahi hoga

Tumhaare jhoote fasaane se kuch nahi hoga








( 2 )
Hamaara ishq majaazi nahi haqeeqi he

Tumhaare jhoote fasaane se kuch nahi hoga









( 3 )
Ali nabi ke wasi fatima ke hen shohar

Ab inki shaan ghataane se kuch nahi hoga







( 4 )
Ali ke bughz me sunlo nashe ki haalat me

Namaaz ziyaada padhaane ne kuch nahi hoga







( 5 )
Ali ke sath nabi or nabi ke saath ali

Janaaza chod ke jaane se kuch nahi hoga







( 6 )
Karega mard koi jang fat'ha khaibar ki

Kisi zanaane ke jaane se kuch nahi hoga







( 7 )
Ghadeer jaisi khilaafat ki do daleel koi

Hawa me teer chalaane se kuch nahi hoga







( 8 )
Khabar suna chuke salmaan fat'he khaibar ki

Tumhaare shor machaane se kuch nahi hoga







( 9 )
Husain neze pe jakar sunaayenge qur'aa

Churi gale pe chalaane se kuch nahi hoga







( 10 )
Hamaari bazm me aati hen faatima zahara

Tumhaare aane na aane se kuch nahi hoga






( 11 )
Ghame husain to qaayam rahega mehshar tak

Kisi ke fatwe lagaane se kuch nahi hoga







( 12 )
Ali ko choutha bataane se kuch nahi hoga

Laga ke aag bujhaane se kuch nahi hoga

           🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋🕋

Comments