Mominon ko Mubarak ali aagaye, ustad sibte jafar marhoom

Mominon ko Mubarak ali aagaye
Jab ali aagye zindagi aagayi


Zindagi bandagi roshni aagayi
Roshni aagayi aagayi aagayi





( 1 )
Mout tere muhibbon ko aati nahi

Aabhi jaaye to phir bachke jaati nahi

Mout ka kiya khatar mout se kiya he dar

Is se bachna bhi kiya aagayi aagayi









( 2 )
Ghusle mayyat na kehna mere ghusl ko

Ujle malboos ko mat kafan naam do

Mai chala hun ali se mulaqaat ko

Jiski thi aarzu wo ghadi aagayi








( 3 )
Jiska moula hun me uska moula ali

Jab nabi ne kaha deen kaamil hua

Marhaba mustafa rab bhi raazi hua

Wo jo aana thi aayat wahi aagayi








( 4 )
Jibra'eel aur qambar pe kiya munhasir

Dar tera chodkar koi jaata nahin

Wo ghulaami ka teri maza paagaya

Raas jisko teri nokri aagayi







( 5 )
Maslake ishq me maangna ayib he

Mai bhi khamosh hun wo bhi khaamosh he

Un ko sab he khabar kis liye chup hun mai

Kiya hua aankh me gar namee aagayi







( 6 )
Khums dena mawaddat ki ik shart he

Or na dena bhi misle fidak he gunaah

Haqqe saadaato zahra ke maqrooz se

Jab tabarraa suna to hansee aagayi







( 7 )
Teri masnad pe ghairon ko bithla diya

Na'ibe mustafa mazhare kibriya

Tu aliyo wasiyo ali hi raha

Manzilat me teri kiya kami aagayi




( kalaam janaab ustaad sibte jafar sahab marhoom )

Comments