Nazm on BAAP, Raza sirsvi,shadman raza naqvi

(1)
Din dhale jab karke mazdoori raza aata he baap

Dekh kar hanste hue bachon ko sukh paata he baap




( 2 )
Saamne aankhon ke jis bete ke mar jaata he baap

Lamha lamha zindagi bhar usko yaad aata he baap





( 3 )
Jaane kitne khuwab karte hen safar bache ke saath

Ghar se pehli baar jab school le jaata he baap





( 4 )
Umr bhar rehti he us bete ke dil me ik khalish

Jab taraqqi dekhne se pehle mar jaata he baap





( 5 )
Thaam kar ungli jise chalna sikhaaya muddaton

Aik din uske sahaare ko taras jaata he baap





( 6 )
Jab numaaya khaamyaabi choome bete ke qadam

Nazr dilwaati he maa sajde me gir jaata he baap





( 7 )
Zindagi bhar chalta rehta he masheeno ki tarha

Mout ki godi me ik din thak ke so jaata he baap





( 8 )
Rote rote bas yahi kehta he wo haaye husain

Jab kabhi apne jawaa bete ko dafnaata he baap






( 9 )
Koi un bachon se pooche kiya he shaadi ka maza

Biyaah ki tareekh rakh kar jinki mar jaata he baap





( 10 )
Roze aashoora bana deti he maa saqqa hame

Aik chota sa uthaane ko alam laata he baap






( 11 )
Ro ke zainab ne kaha baba bhara ghar lut gaya

Jab shabe shaame ghareeba me nazar aata he baap






( 12 )
Kiya kahunga haale asghar pooch baithe jo rabaab

Aage jaata he kabhi peeche palat aata he baap





( 13 )
Maangne aati he jab darbaar me baaghe fidak

Ghamzada beti ko jaane kitna yaad aata he baap





( 14 )
Hone waali he us shaame ghareebaa ki seher

Baazuon ko choom kar beti ko samjhaata he baap





( 15 )
Qaid khaane me hua kohraam bachi mar gayi

Khuwab me ik shab sakeena ko nazar aata he baap





( 16 )
Ye azadaari ka sadqa he jo barzakh me raza

Majlison me rote hen ham or jaza paata he baap

Comments