Haider e karraar ki aamad bataana chahiye
Apne ghar ko khuld se behtar sajaana chahiye
Fatema binte asad aayin to kaabe ne kaha
Inki khaatir ab mujhe ek dar banaana chahiye
Khum me jo waada kiya tha murtaza ke haath par
Har musalmaa ko wahi waada nibhaana chahiye
Aayi jab 13 rajab to has ke kaabe ne kaha
Aaj saare momino ko muskuraana chahiye
Aakherat uski ho ya duniya sabhi be sood he
Dushmane moula ali ko mar hi jaana chahiye
Ab ali ki baat kar or naaraye haider laga
Jo jale moula se usko or jalaana chahiye
✍🏻 𝑺𝑨𝒀𝒀𝑬𝑫 𝑯𝑨𝑰𝑫𝑬𝑹
Comments
Post a Comment