(1)
Duniya se daf'atan safare khuld kar gayi
Kunbe ke dil pe daagh judayi ka dhar gayi
Ghul pad gaya husain ki piyaari guzar gayi
Jannat basayi choud ke duniya ke baagh ko
Taaza kiya he phir ali asghar ke daagh ko
________________________________
(2)
Bano ye bain karke patakti thi apna sar
Mayyat ke gird hashr tha bismil the nouha gar
Nagaah aasma pe huweda hui sahar
Haakim ko ja ke di ye khabardaar ne khabar
Be waariso pe aur museebat guzar gayi
Ladki jo roz roti thi wo aaj mar gayi
_________________________________
(3)
De ab tu hukm kuch ke tadapti hen beebiyan
Mayyat padi he khaak pe tareek he makaa
Aabid juda hen naz'aa me do din ke mayhmaa
Wo sangdil bhi rone laga sunke ye bayaa
Tha munfa'il ke zulm ye kiya be sabab kiya
Sibte nabi ko zib'ha kiya, kiya ghazab kiya
_________________________________
(4)
Bezaar hogi roohe nabi mujhse la kalaam
Be jurm sabko qatl kiya Mai ne tashna kaam
Aysa na ho ke qaid me aabid bhi hon tamaam
Sar nange ehlebait ko bulwaya ta ba shaam
Jab se qaza ki binte shahe mashraqain ne
Be chain kardiya mujhe raando ke bain ne
_________________________________
(5)
Bheja phir usne aabide muztar ko ye payaam
Jo ho zurooryan se manga lijiye imaam
Logon ko bhejta hun mai kuch behre ehtemaam
Tajweez kijiyega qabar ka ho jo maqaam
Ghabrayye na ranjo alam ke hujoom se
Uthwayye behen ke janaaze ko Dhoom se
_________________________________
(6)
Pohoncha ye hukm leke jo zindaa pe ek laying
Dyudhi pe aaye rote hue aabide hazeee
Farmaya ehtiyaaj kisi cheez ki nahee
Do gaz kafan ki fikr he thodi si ho zameen
Zaari baraye bekaso mazloom chahiye
Na ehtemaam chahiye na Dhoom chaahiye
_________________________________
(7)
Ehsaa kisi ka lenge na ham aale Mustafa
Asbaabo maal hmko nahi chahiye Tera
Looti hui jo zainab e bekas ki he rida
Gar usko bhej de to kafan ho yateem ka
Mohlat jo kuch bhi zouf se bimaar payega
Mayyat ko apne haathon pe khud leke jayega
_________________________________
(8)
Mujhsa koi ghareeb nahi khasta tan nahi
Dukh me mere shareek koi mardo zan nahi
Beti ye uski he jise gouro kafan nahi
Qaidi hun koi dost nahi ham watan nahin
Jo Jo sitam dikhaayega wo sab sahenge ham
Juz shukr ke na muh se kabhi kuch kahenge ham
_________________________________
(9)
Pohoncha jawab leke mulaazim jo uske paas
Bheja shaqi ne raando ka loota hua libaas
Masroof ghusl me hue sajjad haq shanaas
Kafna ke us yateema ko bole ba dardo yaas
Lo beebiyo wida holo is noore ayin se
Milne chali he aaj sakina husain se
_________________________________
(10)
Jab laash le ke chal pade sajjade nouha gar
Raanden bhi saath peet to jaati thin apna sar
Zainab pukaarti thin ke Bibi chaleen kidhar
Lekar balaayen kehti thin maa sokhta jigar
Amma ko choude jaati ho rone ke waaste
Bibi chali mazaar me sone ke waaste
_________________________________
(11)
Phir aik baar chaand si soorat dikhaye jao
Dil hil raha he chaati se chaati milaaye jao
Sadqe gyi kafan me na muh ko chupaaye jao
Phir maa ke paas aaogi kab ye bata ke jao
Pehlu me tum na hogi to maa bilbilaayegi
Shab ko tumhaare bin na mujhe neend aayegi
_________________________________
(12)
Zinda ka dar to band he Bibi kidhar chalin
Kapde safaid pehne hue kiske Ghar chalin
Bibi mere riyaaz ko barbaad kar chalin
Daagh apna tum bhi seene pe maadar ke dhar chalin
Na jao is chaman me bahaari kab aayegi
Maa sadqe chaliye phir ke sawaari kab aayegi
_________________________________
(13)
Ghut ghut ke tum andhere me kehti thin baar baar
Amma charaagh ho to theher jaaye jaane zaar
Ab shaam ko milegi tumhe qabr e tango taar
Bibi ko neend aayegi kiyunkar ye maa nisaar
Tadpogi tum to maa ko khabar hogi kis tarha
Pehli ye shab lehed me basar hogi kis tarha
__________________________________________________
(14)
Acha sidhaaro tum pe me qurbaan alvida
Kubra ne di sada ke meri jaan alvida
Chillaayi fizza aiy meri nadaan alvida
Zindaa ko Bibi kar gyin sunsaan alvida
Baba tumhaare saath hen daryo na raah me
Sounpa tumhen ali o nabi ki panaah me
_________________________________
(15)
Bibi tadap tadap ke sidhaari jahaan se
Chouda hamen gala jo khula resmaan se
Nikli na koi baat bhi sookhi zabaan se
Nanhi si jaaan de ke milin baba jaaan se
Jannat me chain ab to sahar shaam kijiyo
Chaati pe apne baap ki araam kijiyo
______________________________________________
(16)
Nikle jo qaid khaane se aabid ba chashme tar
Mayyat behen ki haathon pe thi
Or jhuka tha sar
Pohonche qaree lehed ke to tukde hua jigar
Dafna chuke jo laash to muh rakh ke qabr par
Bole ke jab milogi shahe mashraqain se
Behna hamara haal bhi kehna husain se
_________________________________
Comments
Post a Comment